Dosto duniya ka har insaan zindagi mein safal hona chahta hai, success pana chahta hai. Bahut sare log tamam umar yeh sochte huye gujar dete hai ki kisi din hum bhi ek safal (successful) insaan jaroor banege. Lekin yeh Safalta sabko nahi milti.
sirf kuch mutthi bhar log Safalta ka swaad chakh pate hai, bakiyon ka safal hone ka yeh sapna dekhne ka silsila unki saanso ke sath ruk jata hai. Kyun ? kabhi socha hai apne, Aakhir Aisa kyun hota hai ? kyun zayadatar log nakamyaab rahte hai, zindagi mein kuch nhi kar pate. Aakhir kya fark (difference) hai kamyaab (successful) aur nakamyaab (failures) logo ke beech...
Aayo dekhte hain Nakamyaab hone wale loga mein sabse badi kami yeh hoti hai ke wo kamyaabi ke bare me sochte to bahut hai lekin ek sahi koshish ki shuruyaat kabhi nhi karte.
Ab kuch logo ko lag raha hoga ki nahi ji kuch log bahut mehnati hote hain bahut bhag doud karte hai zindagi mein fir bhi safal nhi ho pate, To apko bata doon ke yeh bhag doud yeh mehnat sab tab tak bekar hai jab tak apke paas koi lakshya nhi hai.
"LAKSHYA SAFALTA KI PEHLI SIDI HAI" bina kisi lakshya ke kee gayi sari mehnat nirarthak hai. zara socho Jis insaan ko Pata hi nhi hai ki usse kaha jana hai, uski manjhil kon si hai, kis disha me hai kya wo kahi pahuch sakta hai, wo chahe din raat chalta rahe, chahe sari umar bhi kyu na chalta rahe usse kuch bhi hasil nhi ho sakta . Isiliye sabse pehle apko ek LAKSHYA tay karna padega. Jis din aap ne apna ek LAKSHYA chun liya uss din samjh lena aap ne kamyabi ki pehli sidi chad li.
Apna lakshya chun lena bhi apne aap mein ek kamyabi hai. Is liye main isko "safalta ki pehli sidi" keh raha hoon. Ab apko sirf uss LAKSHYA ka peechha karna hai, ji tod mehnat karni hai apne uss lakshya ko pane ke liye. Maatr lakshya chun lene se hi insaan ka aada kam khatam ho jata hai. usko disha mil jathi hai ke usse kis taraf badna hai, usse samajh aane lagata hai ki uski din raat ki mehnat use safalta ki taraf le ja rahi hai ya nahi, sangharsh ki tasveer aayine ki tarah saaf ho jati hai.
Aap dekh sakte hai jo log safalta ke shikhar par baithe hai wo direct hi shikhar par nhi pahuch gye, unhone bhi apna lakshya chuna fir uss lakshya ko pane ke liye kadi mehnat ki tab wo kamyaab huye . Isliye sirf safalta ke bare me sochte rahne se kuch nahi hoga, sochna band kijiye, SAFALTA ki pehli sidi chadiye, Apna ek LAKSHYA chuniye, aur nikal pado apni manzil ko pane ke liye. Dosto mujhe umeed hai mera yeh lekh apko achha lagega aur un logo ki kuch madad bhi jaroor karega jo safal to hona chah rahe hai lekin samjh nhi pa rahe ki shuruyaat kaha se karein. To shuruyaat apna lakshya chun kar kariye...
No comments:
Post a Comment